wo bhi mahir tha bahut baat ko uljhane mein

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
wo bhi mahir tha bahut baat ko uljhane mein
hum bhi darte the kisi ek taraf jaane mein
tez-raftari mein rakkha nahin sanson ka hisab
'umr ko bhul gae waqt ko chamkane mein


ek safar aur tarah ka abhi karna hai hamein
aap se aap ki taswir talak jaane mein
khub tarkib nikali thi na pine ki magar
jam tuta hi nahin jam se takrane mein


shukr ye hai ki mulaqat ziyaada na chali
waqt katta hi na tha waqt ko duhrane mein
bhulne mein to use der ziyaada na lagi
gham-gusaron ne bahut waqt liya jaane mein


hain to nadan magar itne bhi nadan nahin
baat banti ho to aa jate hain bahkane mein
kya gham-e-dahr koi yaad agar zinda ho
kya shab-e-hijr agar dhup ho paimane mein


kya karen kaifiyat-e-be-khabari ka 'shaariq'
yar anjaan hue jate hain anjaane mein
52349 viewsghazalEnglish