wo bhula subh ka tha ghar gaya na

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
wo bhula subh ka tha ghar gaya na
zara si der kar di par gaya na
wo dushman tha qarib aane to dete
bacha tha ek hi patthar gaya na


nahin thin us nadi mein machhliyan bhi
bahut tanha tha pani mar gaya na
use 'adat nahin thi zindagi ki
mohabbat ki nazar se dar gaya na


tujhe hi 'ishq ki jaldi padi thi
hamare aansuon se bhar gaya na
bahut ghabrae phirte the tumhin the
laga tha zakhm aakhir bhar gaya na


69904 viewsghazalEnglish