wo bola KHush hai bahut mujhse dur jate hue
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
wo bola khush hai bahut mujh se dur jate hue
jhijhak raha tha magar kyon nazar milate hue
diye ki lau ki tapish main ne dil pe ki mahsus
guzishta raat tere sare khat jalate hue
main muskurane laga maut ki saza sun kar
sisak ke rone laga wo saza sunate hue
wo aane wala na aaya agar to kya hoga
ye sochta hun main diwar-o-dar sajate hue
jhatak ke tod din pairon ki sari zanjiren
palat ke dekha nahin ghar ko ghar se jate hue
wo pal judai ka kuchh itna jaan-lewa tha
main khud bhi rone laga us ko chup karaate hue
qafas mein rahte the hum sath itna mil-jul kar
bahut udas hua main rihai pate hue
'kamal' itna use khauf hai ta'aqub ka
qadam badhata hai naqsh-e-qadam mitate hue

37017 viewsghazal • English