wo chingariyon ko hawa de gaya samundar tha lekin ye kya de gaya main jalte charaghon ki sanson mein hun koi jagne ki dua de gaya shikari bada shoabada-baz tha parindon ko ek aaina de gaya main maqta pe pahuncha to wo ro pada mujhe shaeri ka sila de gaya badi dhup thi ghar ke bahar 'matin' magar wo shajar aasra de gaya