wo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile zara sa lutf magar hum se ru-ba-ru bhi mile jo koi waqif-e-adab-e-rang-o-bu bhi mile to ashk-e-khun mein bu-e-zakhm-e-arzu bhi mile hazar zakhm ko kya be-shumar zakhm lage usi ke sath magar fursat-e-rafu bhi mile ye but-kada na sahi phir bhi mai-kada to nahin yahan to hum ko kai rind be-wuzu bhi mile hamein to aarzu-e-izn-e-haziri hai bahut zahe-nasib agar izn-e-guftugu bhi mile wo is ko kaise khamoshi qarar de aakhir mere sukut mein jab jurm-e-guftugu bhi mile mile jahan bhi payam-e-hayat-e-nau mujh ko maza to jab hai wahin mere yar tu bhi mile wo ek aap hi apni misal hai 'akhgar' aur aap jaise kai us ko hu-ba-hu bhi mile