wo ek dariya aur use hairani hai

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
wo ek dariya aur use hairani hai
meri pyas ka matlab sara pani hai
ab bhi ek taswir mein hai wo sath mere
jis ne apni shakl nahin pahchani hai


waqt bahut lagta hai aane jaane mein
kahne ko to duniya aani jaani hai
ek dushman ke sath yahan tak aa pahunche
aur kahan tak aankhon ki virani hai


us ne hans kar hath chhudaya hai apna
aaj juda ho jaane mein aasani hai
71796 viewsghazalEnglish