wo hadisa bhi hua meri zindagani mein
By anaam-damohiFebruary 5, 2024
wo hadisa bhi hua meri zindagani mein
jise padha tha bade shauq se kahani mein
dikhai jab bhi diya chand bahte pani mein
laga ki husn tera aa gaya rawani mein
use khabar hi nahin sham ko jo hona hai
ye aaftab abhi chur hai jawani mein
yunhi sanwarti nahin hain gulon ki taqdiren
lahu nichodna padta hai baghbani mein
tamam 'umr main us ko talash karta raha
wo ek shakhs jo tha hi nahin kahani mein
kabhi kisi ke na mehman hum hue 'in'am'
tamam 'umr guzari hai mezbani mein

40314 viewsghazal • English