wo har tarah se hamein bewafa samajhte hain
By afsar-deccaniJanuary 1, 2024
wo har tarah se hamein bewafa samajhte hain
khuda hi jaane ki wo hum ko kya samajhte hain
hum un ke dard ki gahraiyon mein dube hain
samajhne wale hamein jaane kya samajhte hain
hain aisi kaun si majburiyan khuda jaane
qarib rah ke bhi hum ko juda samajhte hain
wo ab shikar ghalat-fahmiyon ka hain shayad
du'a karen bhi to wo bad-du'a samajhte hain
subut chahiye ab kya wafa-parasti ka
wo zahr den to hum us ko dawa samajhte hain
hamare nam jo bheja hai us ne khat 'afsar'
hum apne dil ka use mudda'a samajhte hain

81160 viewsghazal • English