wo hasin ghaDi wo sunahra pal nahin bhulta

By qamar-malalFebruary 28, 2024
wo hasin ghadi wo sunahra pal nahin bhulta
jo bitaya tha tere sath kal nahin bhulta
kahan chot aai thi gir ke yaad nahin magar
wo kisi ka kahna zara sanbhal nahin bhulta


tujhe kah diya jo pata chala mujhe 'ishq hai
jise 'ilm ho wo kabhi 'amal nahin bhulta
main ye kaise man lun mujh ko us ne bhula diya
ki meri kahi jo koi ghazal nahin bhulta


use kaise yaad na aae tu zara soch to
ki 'malal' jis se tera badal nahin bhulta
85024 viewsghazalEnglish