wo hasrat-e-bahaar na tufan-e-zindagi aata hai phir rulane ko abr-e-bahaar kyun aalam-o-gham ki tund hawadis ke waste itna latif dil mere parwardigar kyun jab zindagi ka maut se rishta hai munsalik phir ham-nashin hai khatra-e-lail-o-nahaar kyun jab rabt-o-zabt husn-e-mohabbat nahin raha hai bar-e-dosh hasti-e-na-paedar kyun rona mujhe khizan ka nahin kuchh magar 'shamim' is ka gila hai aai chaman mein bahaar kyun