wo hath aur hi tha wo patthar hi aur tha

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
wo hath aur hi tha wo patthar hi aur tha
dekha palak jhapak ke to manzar hi aur tha
tere baghair jis mein guzari thi sari 'umr
tujh se jab aae mil ke to wo ghar hi aur tha


sunta wo kya ki khauf bazahir tha be-sabab
kahta main us se kya ki mujhe dar hi aur tha
jati kahan pe bach ke hawa-e-charagh-gir
mujh jaisa ek mere barabar hi aur tha


kya hote ham-kalam bhala sahil-o-charagh
wo shab hi aur thi wo samundar hi aur tha
17755 viewsghazalEnglish