wo hon mutthi mein un ki dil ho hum hon yunhi parda sa kuchh hail ho hum hon sataen hum usi tarah jis tarah chahen koi nashshe mein yun ghafil ho hum hon tumhaara baam rashk-e-asman ho agar tum ho mah-e-kaamil ho hum hon maza khalwat ka aae qatl-gah mein wahan koi na ho qatil ho hum hon har ek goshe mein jaise hashr barpa nae fitne hon wo mahfil ho hum hon nahin parwa na sabza ho lab-e-ju ye mina ho lab-e-sahil ho hum hon hamare hath mein ho tegh qatil na ho koi adu bismil ho hum hon girah ho zulf ki dil mein hamare hamara uqda-e-mushkil ho hum hon purane najd mein ab hon nae aaj nai laila naya mahmil ho hum hun yunhi hum apni hasti se guzar jaen hamari sai-e-la-hasil ho hum hon ye kam-bakht ek jahan-e-arzu hai na ho koi hamara dil ho hum hon na hum utthen na koi hath uthae gale par khanjar-e-qatil ho hum hon ye sahw-o-mahw hon hum sair-e-gul mein har ek ghuncha hamara dil ho hum hon 'riyaz' us shokh ko bhi tum suna do wo kya hai chulbula sa dil ho hum hon