wo husn-e-barq-talat ka meri aankhon mein ghar karna

wo husn-e-barq-talat ka meri aankhon mein ghar karna
wo manzar phir zara ai jazb-e-dil pesh-e-nazar karna

gham-e-hasti mein phir hone lagi hai be-khudi zail
zara phir ek nazar phir do-jahan se be-khabar karna

khudara chhod de ai chaara-farma chashm-e-saqi par
hazin dil ko nashat-e-zindagi se bahra-war karna

koi hasrat ho kuchh to zad-e-rah-e-zist mil jae
bahut dushwar hai be-muddaa sham-o-sahar karna

na ghairon ne mujhe puchha na apnon ne mujhe samjha
mere hissa hai 'kaukab' zindagi tanha basar karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close