wo husn jis ko dekh ke kuchh bhi kaha na jae
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
wo husn jis ko dekh ke kuchh bhi kaha na jae
dil ki lagi usi se kahe bin raha na jae
kya jaane kab se dil mein hai apne basa hua
aisa nagar ki jis mein koi rasta na jae
daman rafu karo ki bahut tez hai hawa
dil ka charagh phir koi aa kar bujha na jae
nazuk bahut hai rishta-e-dil tez mat chalo
dekho tumhaare hath se ye silsila na jae
hai koi khel jaan ganwane ka hausla
khair ab jo aa gaya hai to ye marhala na jae
ek wo bhi hain ki ghair ka bunte hain jo kafan
ek hum ki apna chaak-gareban siya na jae

29797 viewsghazal • English