wo is jahan se hairan jaya karte hain jo apne aap ko pahchan jaya karte hain jo sirf ek thikane se tere waqif hain teri gali mein wo nadan jaya karte hain kisi ke hone na hone ke bare mein aksar akele-pan mein bade dhyan jaya karte hain main ab kabhi na dikhunga kisi ke marne se ki shab guzar ke mehman jaya karte hain jo asl baat hai us ko chhupane ki khatir kabhi kabhi ghalati man jaya karte hain ye baat aate hue sochta nahin koi ki sab yahan se pareshan jaya karte hain 'jamal' hum to tujhe ye bhi ab nahin kahte kabhi kisi ka kaha man jaya karte hain