wo jo apni zat mein rakhte hain uryani ka shor

By aisha-ayubMay 29, 2024
wo jo apni zat mein rakhte hain uryani ka shor
khuld se aae hain le ke ruh-e-yazdani ka shor
dasht mein rahte hain pyase aur dariche wa kiye
khush hua karte hain sun ke dur se pani ka shor


ek ladki chudiyan khanka rahi thi aur tabhi
us khanak se uth raha tha jaise zindani ka shor
har kisi ka ek la-zahir muqarrab hai magar
dushman-e-dauran-e-duniya mein hai burhani ka shor


mere ghar ke baam-o-dar sab ban gae hain qissa-go
hai mohabbat ki khamoshi aur pashemani ka shor
zabt-e-gham ko tul de jab zist ki yaksaniyat
maut ki aawaz se aata hai aasani ka shor


main pari-paikar hun lekin be-zaban hargiz nahin
sari duniya ne suna hai zarf-e-niswani ka shor
wo mujassam khush-badan yun to sukhanwar hai magar
us ke andar gunjta hai ramz-e-pinhani ka shor


sab sitare jhilmilae chand ki aaghosh mein
jab andhere mein wo laya apni tabani ka shor
us ne parbat par sada di ja ke mujh ko 'aisha'
aur wahan se laut aaya meri virani ka shor


63163 viewsghazalEnglish