wo jo har rah ke har moD pe mil jata hai

By abid-almiMay 19, 2024
wo jo har rah ke har mod pe mil jata hai
ab ke puchhenge ki us shakhs ka qissa kya hai
main wo patthar hun nahin jis ko mila sang-tarash
main ne har shakl ko apne mein samo rakkha hai


yunhi chup-chap bhala baithe rahoge kab tak
koi darwaza kahin yun bhi khula karta hai
jab bhi girti hai kisi kuche mein koi diwar
mujh ko lagta hai koi shakhs bahut roya hai


panw jalte hain yahan jism bhi jal jaega
tum ne kya soch ke sahra mein qadam rakkha hai
tutte bante hi ye 'umr guzar jaegi
meri har shakl mein ek naqs ubhar aata hai


hum ne har daur ke sine mein hain ghonpe khanjar
aur har daur ke sine se lahu tapka hai
tum ne puchha hai ki tum kya ho kahan ho kyun ho
ye to batlao ki is soch mein kya rakkha hai


dasht ke pedon se kya puchh rahe ho 'abid'
bhul jao ki tumhein koi sada deta hai
85948 viewsghazalEnglish