wo jo har-waqt sochta hai mujhe
By rashmi-sabaNovember 14, 2020
wo jo har-waqt sochta hai mujhe
khud se bichhda hua mila hai mujhe
ek aahat si aati rahti hai
koi to hai jo dhundhta hai mujhe
apna aaghaz ho na ho lekin
apne anjam ka pata hai mujhe
gahre pani ki or badhte hi
khud-ba-khud dariya rokta hai mujhe
haal-e-dil jab sunana chaha to
us ne hans ke kaha pata hai mujhe
khud par aakhir ghurur kyun na karun
us ke har khwab ne chuna hai mujhe
aasman se utar ke chand 'saba'
de ke thapki sula raha hai mujhe
khud se bichhda hua mila hai mujhe
ek aahat si aati rahti hai
koi to hai jo dhundhta hai mujhe
apna aaghaz ho na ho lekin
apne anjam ka pata hai mujhe
gahre pani ki or badhte hi
khud-ba-khud dariya rokta hai mujhe
haal-e-dil jab sunana chaha to
us ne hans ke kaha pata hai mujhe
khud par aakhir ghurur kyun na karun
us ke har khwab ne chuna hai mujhe
aasman se utar ke chand 'saba'
de ke thapki sula raha hai mujhe
80541 viewsghazal • English