wo jo kasa liye har dar pe khaDa hota hai

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
wo jo kasa liye har dar pe khada hota hai
main use roz batata hun khuda hota hai
kitne darwazon pe jhukta hai tumhein kya ma'lum
wo jo ek shakhs kisi ghar ka bada hota hai


waqt par kaam na aa pae to bhai kaisa
ghar mein rakkhi hui talwar se kya hota hai
us ne ta'rif ke patthar se kiya hai zakhmi
ye nishana badi mushkil se khata hota hai


'ishq mein sar kabhi jhukta hi nahin hai 'nadir'
ye wo sajda hai jo aankhon se ada hota hai
38245 viewsghazalEnglish