wo kab aaen khuda jaane sitaro tum to so jao hue hain hum to diwane sitaro tum to so jao kahan tak mujh se hamdardi kahan tak meri gham-khwari hazaron gham hain anjaane sitaro tum to so jao guzar jaegi gham ki raat ummido to jag uttho sambhal jaenge diwane sitaro tum to so jao hamein rudad-e-hasti raat bhar mein khatm karni hai na chhedo aur afsane sitaro tum to so jao hamare dida-e-be-khwab ko taskin kya doge hamein luta hai duniya ne sitaro tum to so jao use 'qabil' ki chashm-e-nam se derina talluq hai shab-e-gham tum ko kya jaane sitaro tum to so jao