wo kabhi ishq ka unwan hua karta tha
By armaan-khanOctober 27, 2023
wo kabhi 'ishq ka 'unwan hua karta tha
main bhi tab 'ishq pe qurban hua karta tha
'ishq ne mere khuda kar diya us ko shayad
pahle pahle wo bhi insan hua karta tha
jo abhi jaan ka dushman hai kabhi aisa tha
han wo hi shakhs meri jaan hua karta tha
kaun guzra hai ki is dil mein badi raunaq hai
ye to wo ghar hai jo viran hua karta tha
sha'iri karte hue jaan gae hain kuchh log
warna gumnam sa 'arman' hua karta tha

10129 viewsghazal • English