wo kahan hai kitab ke andar

By fahmi-badayuniFebruary 6, 2024
wo kahan hai kitab ke andar
jo likha tha nisab ke andar
main ne dhunda sharab ke andar
aur nasha tha naqab ke andar


aaj bhai ka phone aa hi gaya
kuchh kami thi hisab ke andar
sara afsana rang-o-bu ka tha
kuchh na nikla gulab ke andar


apne apne sawal hote hain
apne apne jawab ke andar
meri diwangi pe ek budhiya
hans padi mahtab ke andar


ghumna chhod de zamin agar
gir pade aaftab ke andar
60803 viewsghazalEnglish