wo kahan jalwa-e-jaan-bakhsh butan-e-dehli kyun ki jannat pe kiya jaane guman-e-dehli in ka be-wajh nahin tut ke hona barbaad dhunde hai apne makinon ko makan-e-dehli jis ke jhonke se saba tabla-e-attar bane hai wo baad-e-sahar-e-itr-fishan-e-dehli mehr zar khak ko karta hai ye sach hai lekin is se kuchh badh ke hain sahab-nazran-e-dehli aaina-saz sikandar hai tu jam jam-farosh wusat-abaad hai kis darja jahan-e-dehli kar ke barbaad use kis ko basaega falak kya koi aur bhi hai shahar basan-e-dehli is liye khuld mein jaane ka har ek talib hai ki kuchh ek dur se padta hai guman-e-dehli wo sitam dekh chuke the ki rahe aasuda fitna-o-hashr mein aafat-zadgan-e-dehli samjhe hain su-e-adab jannat-e-sani kahna wo kuchh ashkhas jo hain martaba-dan-e-dehli saili-e-panja-e-jallad-e-sitam se hai hai nazr-e-be-dad hue muntakhaban-e-dehli ya-khuda hazrat-e-ghaalib ko salamat rakhna ab isi nam se baqi hai nishan-e-dehli karbat-e-ghurbat-o-tanhai-o-shab-ha-e-daraaz aur 'majruh'-e-dil-afgar bayan-e-dehli