wo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahin aata

By abbas-tabishOctober 22, 2020
wo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahin aata
samajh to aata hai lekin nazar nahin aata
agar ye tum ho to sabit karo ki ye tum ho
gaya hua to koi laut kar nahin aata


ye dil bhi kaisa shajar hai ki jis ki shakhon par
parinde aate hain lekin samar nahin aata
ye jama kharch zabani hai us ke bare mein
koi bhi shakhs use dekh kar nahin aata


hamari khak pe andhi hawa ka pahra hai
use khabar hai yahan kuza-gar nahin aata
ye baat sach hai ki is ko bhula diya main ne
magar yaqin mujhe is baat par nahin aata


nazar jamae rakhunga main chand par 'tabish'
ki jab talak ye parinda utar nahin aata
37394 viewsghazalEnglish