wo ki zarron ki tarah mujh mein simaT kar phaila
By salim-saleemFebruary 28, 2024
wo ki zarron ki tarah mujh mein simat kar phaila
jis ko bandhe hue rakkha wahi aksar phaila
ek umadta hua dariya mere aage pichhe
ek sulagta hua sahra mere andar phaila
ek nuqte pe simatti rahi duniya meri
ek nuqta meri duniya se jo bahar phaila
parda-e-ruh se bahar bhi kisi din aaun
aa kabhi apna badan mere badan par phaila
ye zamin bas mere qadmon se lagi rahti hai
aasman meri nigahon ke barabar phaila
jis ko bandhe hue rakkha wahi aksar phaila
ek umadta hua dariya mere aage pichhe
ek sulagta hua sahra mere andar phaila
ek nuqte pe simatti rahi duniya meri
ek nuqta meri duniya se jo bahar phaila
parda-e-ruh se bahar bhi kisi din aaun
aa kabhi apna badan mere badan par phaila
ye zamin bas mere qadmon se lagi rahti hai
aasman meri nigahon ke barabar phaila
55547 viewsghazal • English