wo kisi bhi aks-e-jamal mein nahin aaega

By noon-meem-danishNovember 11, 2020
wo kisi bhi aks-e-jamal mein nahin aaega
wo jawab hai to sawal mein nahin aaega
nahin aaega wo kisi bhi harf o bayan mein
wo kisi nazir-o-misal mein nahin aaega


use dhaalna hai khayal mein kisi aur dhab
wo shabahat-o-khad-o-khal mein nahin aaega
wo jo shahsawar hai tegh-zan rah-e-zindagi
mere sath waqt-e-zawal mein nahin aaega


yahan kaun tha jo salamti se guzar gaya
yahan kaun hai jo wabaal mein nahin aaega
use launga main sukut-e-harf-o-sada mein bhi
wo sukhan kabhi jo sawal mein nahin aaega


jo hain muntazir badi der se unhen kya khabar
nahin aaega kisi haal mein nahin aaega
11130 viewsghazalEnglish