wo main nahin ki chhupae phirun kanar mein dil

By munshi-banwari-lal-sholaOctober 25, 2023
wo main nahin ki chhupae phirun kanar mein dil
jo lene wala mile phenk dun hazar mein dil
gahe sarishk mein hai gahe intizar mein hai
bahut dinon se hai aankhon ke ikhtiyar mein dil


na khauf-e-gham hai ki aata nahin kanar mein dil
machal gaya mera aaghosh-e-gham-gusar mein dil
hazar arsa-e-mehshar ho sair ke qabil
uthega kaun agar lag gaya mazar mein dil


bura ho soz-e-darun ka badal gai surat
udi wo khak-e-jigar at gaya ghubar mein dil
tumhin batao ki qabu hai kya tabiat par
tumhin kaho kahin hote hain ikhtiyar mein dil


utha qadam ko zara tifl-e-ashk aahista
ki misl shisha-e-bashkasta hai kanar mein dil
uthega hashr lagaega koi to thokar
ki rah dekhte hain rakh ke rahguzar mein dil


wahi hai nala-e-pur-dard na-tawani mein
ye naghma tar mein hai ya hai jism-e-zar mein dil
tumhaare tir ki hasrat ko bhi jagah mil jae
jo ek aur bhi nikle dil-e-figar mein dil


ye kis ka aabla-pa su-e-dasht aata hai
piroya qais ka laila ne khar khar mein dil
tumhin ne khak-e-kudurat bhari hai pahlu mein
tumhin ne dekha tha aaina sa kanar mein dil


mere hi nalon ne rakhne kiye hain patthar mein
mera hi garm-e-fughan hai har ek sharar mein dil
bajae ashk-e-nadamat umid-e-rahmat par
nikal ke aaya hai chashm-e-gunahgar mein dil


kahan dikhaiye 'shoala' hujum-e-hasrat mein
kahan bataiye gham-ha-e-be-shumar mein dil
66522 viewsghazalEnglish