wo mera aashna nahin hota

By tuaqeer-chughtaiMarch 1, 2024
wo mera aashna nahin hota
kash ye waqi'a nahin hota
bhuk aur maut ke 'alawa ab
ghaib se kuchh 'ata nahin hota


dard hota hai ek jaisa hi
zakhm chhota bada nahin hota
bas achanak hi chhu liya tha use
is tarah bar-ha nahin hota


aap 'tauqir' se nahin waqif
kuchh bhi kah do khafa nahin hota
34022 viewsghazalEnglish