wo mila to husn ke wo sare paikar mil gae

By abdullah-minhaj-khanMay 18, 2024
wo mila to husn ke wo sare paikar mil gae
meri khoi zindagi ke sare manzar mil gae
'umr bhar karte rahe hum log pani ki talash
zindagi ki ret par sukhe samundar mil gae


ai akad kar chalne wale bas tu itna soch le
is zamin ki khak mein kitne sikandar mil gae
waqt ko phulon ke jaise hum ne pala tha magar
kis liye phir waqt ke hathon mein khanjar mil gae


jab se hum is karwan-e-bazm mein dakhil hue
kya bataen kaise kaise phir sukhanwar mil gae
hum jahan ki mushkilon se 'umr bhar ladte rahe
zakhm dhunde to wo mere dil ke andar mil gae


aaj jitne hukmaran hain un ka mazi dekh kar
jaeza hum ne liya to sare naukar mil gae
wo bhalai ka zamana ja chuka 'minhaj' ab
muflisi ki rah mein sare sitamgar mil gae


28223 viewsghazalEnglish