wo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabab ki samt aa rahe hain dilon ke ghunche khila rahe hain nazar ka daman saja rahe hain har ek zarre mein har faza mein wo husn ban kar sama rahe hain hamari tab-e-nigah ko wo har aaina aazma rahe hain hamare aansu suna rahe hain shikasta dil ka fasana un ko magar qayamat ki baat hai ye wo sun ke bhi muskura rahe hain dil-o-jigar khun ho chuke hain hamare lab par magar hansi hai hum apne afsana-e-wafa ko kuchh aur rangin bana rahe hain jo mahw-e-zulm-o-sitam tha kal tak wo aaj shayad badal gaya ho ye aarzu le ke hum dobara kisi ke kuche mein ja rahe hain falak ka andaz kah raha hai hamare arman ka khun hoga abhi to aaghaz-e-shab hai aakhir sitare kyun jhilmila rahe hain hamari qismat ka pher dekho talash-e-manzil mein umr guzri magar jahan se chale the kashfi wahin pe hum khud ko pa rahe hain