wo mujhe soz-e-tamanna ki tapish samjha gaya mom ka paikar samajh kar dhup mein thahra gaya us ki bazm-e-gul hain apne khana-e-viran ki samt main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya tha amir-e-shahr gar apni jagah bar-haq to phir aaina jab samne aaya to kyun ghabra gaya ab koi saffak duniya ke ghamon ka gham nahin hum ko tera gham samajhne ka saliqa aa gaya kis se dekha jaega us ka jamal-e-nau-ba-nau ek jalwa hi nigah-e-shauq ko pathra gaya bazi-e-dil hum ne yun kheli bisat dahr par shah pe shah padti rahi har shah pe ek mohara gaya chadhte suraj ke pujari kal ke suraj ko na bhul wo bhi suraj tha yun hi nikla chadha utra gaya ab na wo mushtaq nazren hain na wo betab dil be-mahaba aae sanson ka wo pahra gaya kuchh ajab tha teri bazm-e-naz mein 'akhgar' ka haal aaj us ko der tak kuchh sochta dekha gaya