wo mujhse is qadar sahma hua hai

By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
wo mujh se is qadar sahma hua hai
khuda jaane use ye kya hua hai
main tere ru-baru hun yar phir bhi
tera chehra bahut utra hua hai


muqaddar hai ki phir meri khataen
ghamon ne jo mujhe ghera hua hai
manane ki use koshish hai jari
jo mujh se aaj-kal rutha hua hai


tasawwur mein basa hai koi shayad
tabhi chehra tera nikhra hua hai
koi to baat hai aisi yaqinan
wo insan aaj-kal badla hua hai


wo meri zindagi thi zindagi hai
tabhi to shahr mein charcha hua hai
nahin sunta kisi ki bhi sada wo
ye hakim qaum ka bahra hua hai


saliqe se ghazal likhni thi 'ahmad'
magar haalat ne jakda hua hai
53574 viewsghazalEnglish