wo nigahen jo hazaron ki suna karti thin

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
wo nigahen jo hazaron ki suna karti thin
faisle mere ishaaron pe liya karti thin
is baras us se bichhadna tha to kya kya na hua
warna kab itni mulaqaten hua karti thin


mujh ko dekhe bina ji pao to ab mat aana
yahi baaten to phir aane ko kaha karti thin
ab yaqin kar ki mere dil mein koi baat nahin
ranjishen thin to ubharti bhi raha karti thin


ab jin aankhon ki udasi ke bahut charche hain
kal talak kitne hasin khwab buna karti thin
36894 viewsghazalEnglish