wo qarya-e-mahtab rahe subh-o-masa yaad kuchh bhi na rahe shahr-e-tamanna ke siwa yaad anwar ki barish thi sar-e-manzil-e-taiba har manzil-e-khush dekh ke aata tha khuda yaad ab tak hain nigahon mein dar-o-baam haram ke ab tak hai mujhe wadi-e-rahmat ki faza yaad hai sirat-e-athar mera sarmaya-e-hasti mahbub-e-do-alam ki hai ek ek ada yaad dube na kabhi mere muqaddar ka sitara ek bar jo kar len mujhe mahbub-e-khuda yaad qurban hui jati thin rahmat ki ghataen in kanpte honton ka hai andaz-e-dua yaad har ek ke daman mein muradon ke guhar the 'hafiz' mujhe darbar ki hai shan-e-sakha yaad