wo ru-ba-ru hon to ye kaif-e-iztirab na ho khuda kare nigah-e-shauq kaamyab na ho sawal kya ho ki un ki khamosh nazron mein na de sake jo wo ab tak wahi jawab na ho ye kya guman hai ki waqt-e-sahar ki bedari jo raat bit chuki hai usi ka khwab na ho ye inhitat-e-junun ye khirad ki sust-rawi kahin ye khamushi az-qabl-e-inqalab na ho kahin junun mein ye mera kamal-e-hosh-o-khirad teri nigah-e-taghaful ka pech-o-tab na ho junun-e-gham hai mera parda-e-hijab se dur ki la-jawab tera husn-e-la-jawab na ho suna hai wo rukh-e-zeba naqab mein hai 'sahab' kahin ye hasti-e-mauhum hi naqab na ho