wo samne bhi nahin phir bhi un ka shak kyun hai khila nahin hai agar phul to mahak kyun hai ye ju-e-shir kahin ju-e-khun na ban jae ki azm-e-tesha-o-farhad mein chamak kyun hai isi ko kya main mohabbat ki zindagi kah dun ye silsila teri yaadon ka aaj tak kyun hai hamari aankhon ka sawan bhi ye samajh na saka jazire khushk hain bhigi hui palak kyun hai tumhaare khat mein mohabbat ke rang bikhre hain jo ye ghalat hai to lafzon mein phir dhanak kyun hai mere lahu mein gulabon ka rang hai 'mutrib' main kya bataun ki is shahd mein namak kyun hai