wo sarkhushi de ki zindagi ko shabab se bahara-yab kar de mere khayalon mein rang bhar de mere lahu ko sharab kar de haqiqaten aashkar kar de sadaqaten be-hijab kar de har ek zarra ye kah raha hai ki aa mujhe aaftab kar de ye khwab kya hai ye zisht kya hai jahan ki asli sirisht kya hai bada maza ho tamam chehre agar koi be-naqab kar de kaho to raaz-e-hayat kah dun haqiqat-e-kaenat kah dun wo baat kah dun ki pattharon ke jigar ko bhi aab aab kar de khilaf-e-taqdir kar raha hun phir ek taqsir kar raha hun phir ek tadbir kar raha hun khuda agar kaamyab kar de tere karam ke muamle ko tere karam hi pe chhodta hun meri khataen shumar kar le meri saza ka hisab kar de 'hafiz' sab se badi kharabi hai ishq mein lutf-e-kaam-yabi kisi ki duniya tabah kar de kisi ki uqba kharab kar de