wo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta pakda hi gaya hun to mujhe dar pe khincho sachcha hun magar apni wakalat nahin karta kyun bakhsh diya mujh se gunahgar ko maula munsif to kisi se bhi riayat nahin karta ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain choron ko magar koi malamat nahin karta kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-barahim kis mulk pe namrud hukumat nahin karta dete hain ujale mere sajdon ki gawahi main chhup ke andhere mein ibaadat nahin karta bhula nahin main aaj bhi aadab-e-jawani main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta insan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai main aise mazaron ki ziyarat nahin karta duniya mein 'qatil' us sa munafiq nahin koi jo zulm to sahta hai baghawat nahin karta