wo shaKHs mere dil se nikal hi nahin raha

By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
wo shakhs mere dil se nikal hi nahin raha
dil hai ki apni zid se pighal hi nahin raha
ab waqt ka tamasha to khul hi nahin raha
jis kal mein ji raha tha wo kal hi nahin raha


wo jitna jo chahe to bazi ko jit le
lekin jo waswason se nikal hi nahin raha
chakkar mein pad gaya hai jo dhoke se 'ishq ke
phir us ki uljhanon se nikal hi nahin raha


ghadiyan badal badal ke bhi dekhin hain subh sham
kaisa ye waqt hai jo badal hi nahin raha
manzar dikhaun aur main 'ibrat ke kis qadar
insan hai ki ab bhi sanbhal hi nahin raha


masjid mein be-dili se azan de raha hai kaun
shaitan koi ghar se nikal hi nahin raha
dhoke se ek sikka jo khota nikal gaya
ab kya karun main is ka ki chal hi nahin raha


bazi tiki hui hai meri agli chaal par
to jao phir ye chaal main chal hi nahin raha
ab kyon dikha rahe ho ye manzil ka rasta
'mas’ud' tere sath main chal hi nahin raha


dushman ke nam ke to din aate hi dhal gae
'mas’ud' ka zamana to dhal hi nahin raha
62514 viewsghazalEnglish