wo sola ke hon pachchis ke hon ya pure pachhattar ke muannas hi pade rahte hain khud pichhe muzakkar ke jo un ke ishq ke chakkar mein aaen wo to rahte hain na purab ke na pachchhim ke na dakhkhin ke na uttar ke bahane-baz hain makkar hain jhute hain shatir hain mile hain ab kahin ja kar unhen ushshaq takkar ke jahan se chahte hain khub wo bose churaate hain ki un ke ghar ke machchhar bhi sikandar hain muqaddar ke hamare shaikh ji phir se shifa-khane mein dakhil hain bahut akhlaq ke qail hue hain ek sister ke hifazat jism-o-jaan ki bhi zaruri hai mohabbat mein qadam kuche mein rakhta hun tere abba se dar dar ke unhen aadat nahin hai lu-lapat mein pyar karne ki gina karte hain ab 'masrur' din mah-e-december ke