wo subh wasl kar ke pareshan bhi gaya

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
wo subh wasl kar ke pareshan bhi gaya
lekin rida-e-wa'da-e-shab tan bhi gaya
ek bar main sifarish-e-ashk-o-du'a ke ba'd
us anjuman mein be-sar-o-saman bhi gaya


rukhsat hua hai dil se tumhaara khayal bhi
is ghar se aaj aakhiri mehman bhi gaya
aisa kahan wo manne wala tha meri baat
baadal umad ke aae hain to man bhi gaya


bahka raha hai kaun mujhe yun tere khilaf
ek martaba khud apni taraf dhyan bhi gaya
kya kar sakega shahr ki marne se peshtar
gar apne qatilon ko main pahchan bhi gaya


dushman ke dil mein ab bhi hai dahshat meri 'jamal'
har chand mere hath se maidan bhi gaya
82578 viewsghazalEnglish