wo tafawuten hain mere KHuda ki ye tu nahin koi aur hai

By ahmad-farazJanuary 1, 2024
wo tafawuten hain mere khuda ki ye tu nahin koi aur hai
ki tu aasman pe ho to ho ye sar-e-zamin koi aur hai
wo jo raste the wafa ke the ye jo manzilen hain saza ki hain
mera ham-safar koi aur tha mera ham-nashin koi aur hai


mere jism-o-jaan mein tere siwa nahin aur koi bhi dusra
mujhe phir bhi lagta hai is tarah ki kahin kahin koi aur hai
main asir apne ghazal ka main faqir dasht-e-visal ka
jo hiran ko bandh ke le gaya wo subuktagin koi aur hai


main 'ajab musafir-e-be-aman ki jahan jahan bhi gaya wahan
mujhe ye laga mera khak-dan ye zamin nahin koi aur hai
rahe be-khabar mere yar tak kabhi is pe shak kabhi us pe shak
mere ji ko jis ki rahi lalak wo qamar-jabin koi aur hai


ye jo chaar din ke nadim hain inhen kya 'faraaz' koi kahe
wo mohabbaten wo shikayaten hamein jis se thin koi aur hai
73745 viewsghazalEnglish