wo tark-e-ishq ka tha rasta chala gaya main bila-irada hi jis par chala chala gaya main wo shakhs yunhi kahin raste mein mil gaya tha palak jhapak ke use dekhta chala gaya main meri hayat mein ek dusri mohabbat thi use bhi aur koi mil gaya chala gaya main khabar nahin ki yahan aur kaun hai maujud pata karo ki yahin par hun ya chala gaya main phir us ke baad kahan tha mujhe nahin malum faqir-e-ishq se le kar dua chala gaya main