wo tasawwur mein to aata hai chala jata hai
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
wo tasawwur mein to aata hai chala jata hai
dhadkanen dil ki badhata hai chala jata hai
hone lagta hai mujhe jab bhi takabbur ka guman
koi aaina dikhata hai chala jata hai
koi darwesh mujhe roz sawali ban kar
khwab-e-ghaflat se jagata hai chala jata hai
kaun hai dost yahan kaun hamara dushman
gardish-e-waqt batata hai chala jata hai
meri turbat pe sar-e-sham du'aon ka charagh
koi ashkon se jalata hai chala jata hai
baith jata hun rah-e-'ishq mein thak kar to junun
manzil-e-shauq badhata hai chala jata hai
waqt aata hai dabe panw hamesha 'alam'
sab ki auqat batata hai chala jata hai

68686 viewsghazal • English