wo to hai dushman-e-jaan dad-e-wafa kya dega jo kabhi zahr na dai paya dawa kya dega kal kahin aaj kahin apna safar na-ma'lum koi be-samt hawaon ka pata kya dega is se sar phod ke mar jao to kuchh baat bane zindagi ye tumhein patthar ka khuda kya dega khud tumhin jism ki diwar mein khidki kholo ek zindan hai sanson ka hawa kya dega zard patton ki tarah girte hain pal pal aansu tera gham bhi mujhe ab saya ghana kya dega zindagi nam hui us ke to darna kaisa 'ah' ab maut se badh kar wo saza kya dega