wo to hashr tha magar us ki ab wo shabahaten bhi chali gain jo rahen to shahar mein kya rahen ki qayamaten bhi chali gain tere dam se thin sabhi raunaqen wo habib the ki raqib the wo qarabaten to gai hi thin wo riqabaten bhi chali gain tera qurb garche tha jaan-gusil wahi qurb tha meri zindagi tere baad marg-o-hayat ki wo rifaqaten bhi chali gain meri aarzu thi ki jaan-ba-kaf meri justuju ki nafas ba-pa ab ai zindagi mujhe chhod ja ki ye haalaten bhi chali gain tu ne di jo dard ki daulaten wo ghazal ghazal na sama sakin mere hath se tere husn ki ye wirasaten bhi chali gain use dekh dekh ke sochna use soch soch ke dekhna wo aziz kya ki aziz-tar kai aadaten bhi chali gain