wo to hashr tha magar uski ab wo shabahaten bhi chali gain

By r-p-shokhFebruary 1, 2024
wo to hashr tha magar us ki ab wo shabahaten bhi chali gain
jo rahen to shahr mein kya rahen ki qayamaten bhi chali gain
tere dam se thin sabhi raunaqen wo habib the ki raqib the
wo qarabaten to gai hi thin wo riqabaten bhi chali gain


tera qurb garche tha jaan-gusil wahi qurb tha meri zindagi
tere ba'd marg-o-hayat ki wo rifaqaten bhi chali gain
meri aarzu thi ki jaan-ba-kaf meri justuju ki nafas ba-pa
ab ai zindagi mujhe chhod ja ki ye haalaten bhi chali gain


tu ne di jo dard ki daulaten wo ghazal ghazal na sama sakin
mere hath se tere husn ki ye wirasaten bhi chali gain
use dekh dekh ke sochna use soch soch ke dekhna
wo aziz kya ki aziz-tar kai aadaten bhi chali gain


93775 viewsghazalEnglish