wo to yunhi kahta hai ki main kuchh nahin kahta mera ye maqula hai ki main kuchh nahin kahta kah jata hai wo saf hazaron mujhe baaten phir us pe ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta ai dosto us shokh ka main kya kahun aalam kuchh aaj wo dekha hai ki main kuchh nahin kahta yun ghair sataen mujhe aur kuchh na kahun main munh mujh ko tumhaara hai ki main kuchh nahin kahta har baat pe kya kya hamein kahta hai wo zalim gar kahiye to kahta hai ki main kuchh nahin kahta bas aur kiya chahte ho mujh pe sitam kya socho to ye thoda hai ki main kuchh nahin kahta kya haal banaya hai gham-e-ghair mein apna wo aap ka naqsha hai ki main kuchh nahin kahta juz mere kisi aur ko to aap sataen han aap ne samjha hai ki main kuchh nahin kahta aisa hamein kahte ho ki bas jaante hain hum ye aap ko dhoka hai ki main kuchh nahin kahta kya kya mujhe tum kahte ho insaf to kije ye hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta dawa karen go aur 'nizam' apne sukhan par par mujh ko ye dawa hai ki main kuchh nahin kahta