wo tohmaten na lagata to aur kya karta
By aalam-nizamiDecember 28, 2023
wo tohmaten na lagata to aur kya karta
mere hunar na chhupata to aur kya karta
khadi thin har-su mazalim ki aandhiyan phir main
charagh-e-haq na jalata to aur kya karta
gharibi sath mera de rahi thi bachpan se
na us ka sath nibhata to aur kya karta
main chhaale man ki hatheli pe dekhta kaise
kamane shahr na aata to aur kya karta
tamam basti pareshan thi raushni ke liye
main apna ghar na jalata to aur kya karta
samajh raha tha farishta wo khud ko ai 'alam'
main aaina na dikhata to aur kya karta

25672 viewsghazal • English