wo zaban apni kholta hi nahin

By v.-c.-rai-nayaJuly 14, 2021
wo zaban apni kholta hi nahin
ye nahin hai ki bolta hi nahin
har ada us ki kuchh to hai kahti
tu magar aankh kholta hi nahin


jitna tum doge utna paoge
kam ziyaada wo tolta hi nahin
wo chaman ki bahaar kya jaane
jo darichon ko kholta hi nahin


band aankhen taraazu hath mein hai
wo magar kuchh bhi tolta hi nahin
jab yudhishthir bhi sach pe tik na sake
aaina sach se dolta hi nahin


kyun na ho kadwi teri baat 'naya'
jhut tu is mein gholta hi nahin
14481 viewsghazalEnglish